Yeh baat toh sab karte hain k wah bhyi technology se zindagi kitne sukoon mein hai but yeh koi nahi kehta k isi technology ki wajah se life kitni mushkil bhi hogayi hai.
- Sab se zyada break ups social media ki wajah se hote hain. Facebook per check in laga kar pakre jana toh buhat purani baat hai, ab toh whats app ka last seen buhat hai apka break up ya shaadi khatam karne k liye.
- Gun point per phone chori hona toh common hai. But aj kal k mehengai k zamane mein baar baar mehanga phone lena buhat mushkil. Or jitna mehnga phone, utni kum resale. Nuksaan hi nuksaan!
- Chahe khaandaan ki shaadi ho, kisi ka soyam ho, ya phir koi paida howa ho, agar apne snapchat ki selfie ya phir facebook check in nahi kiya to apko is moashray mein rehne ka koi haq nahi hai.
- Hum pass bethe logo ko toh bhool jate hain, lekin hum un logo se har wakt connected hote hain jinka humse rishta sirf social media tak ka hai. Selfiyan le ka unko save toh karlete hain lekin who time miss kardete hain jo phir wapas nahi ana.
- Khaana banane ka mood nahi toh pizza order karlo. Shopping per kon jaye, online hi order karlo. Technology se cheezen hamari fingertips per toh agayi hai lekin humein zarurat se zyada sust bana diya hai. Susti ka yeh haal hai k ek ghar mein reh kar bhi hum ek dosre se what sap per baat karte hain.
Woh kehte hain na har cheez ka zyada istemaal nukssan deta hai!