Is pandmic ki waja se puri dunia in 5 mahino me badal gayi jisme humaray lifestyle se lekar economy sab par kafi asar para hai. Ye 5 mahine kafi challenging thay lekin pichle kuch mahino me cases kum hue hain or situation better ho rahi hai.
Federal Minister Asad Umar recently announced to ease on lock down further more. Recent instructions kay hisaab se 10th August se sarey restaurant (indoor and outdoor), cinemas or parks kholne ki permission mil gayi hai jabke schools or university kholne ka decision 15th September tak delay kia gaya hai. Confirm orders educational institutions khulne kay 7th September ko diye jayenge.
Is baat ka khayal rakhna bohot zaroori hai ye virus spread hona kum toh hua hai lekin puri tarha khatam nahi hua hai ab tak. Proper precautions kay begair public places me janey se avoid karen. Hand sanitizer or face masks abhi bhi use karen jisey is virus kay phelne kay chances kaafi kum hojate hain or apna or apne ghar walo ka khayal rakhen. Kiu kay jaan hai toh jahaan hai.