FHM Pakistan
FHM Roman

PUNJAB ME 100 SE ZIADA BOOKS AKHIR KIU BAN KARDI GAYI?

Punjab me school me parhane wali text books 100se ziada banned islye kardi gayi kiu kay isme Islam or Pakistan k khilaaf baton ka zikar tha.

Board’s managing director Rai Manzoor Hussain ka kehna hai ye books private schools me istemaal ki jaa rahi thi. 10,000 se ziada books ko seized kardia gaya hai or sath he in books kay bare me investigation bhi chal rae hai.

Board ne 30 committees banayi hai is case ki investigation kay liye. 30 se ziada publisher’s ka naam ayah ai is case me jism eek Oxford University Press Pakistan bhi shamil hai. In publishers ki sales or publishing par sakht nazar rakhne ka order bhi dia hai.

In books me caliphs or Quaid-e-Azam kay bare mei mukhtalif kisam kay jhoot likhe gaye thay. Iske elawa Islam kay barey me bhi mukhtalif kisam k jhoot in kitabon me likhe gaye hain.

 

Related posts

This country can now fine you for eating, applying makeup and for smoking shisha in the car!

FHM Pakistan

Sheesha tobacco import banned in Pakistan

Isra Shams

Jab PAKISTAN main itne Khoobsurat beaches hain toh THAILAND kion jayen!

FHM Pakistan