FHM Pakistan
FHM Breeze

Please, mujhe nikaalo yahan se! Mein aur bardasht nahi kar sakti!

Soul Sisters aik aisa group hai jahan har tarhan ki baatein discuss hoti hain. Kisi ke issues, kisi ki khushiyaan; har problems mein is group ki larkiyan aik doosre ka saath daiti hain. Aisi hi aik kahani Sidra Hasan ne anonymous post ki. Is story ne sabko hi hairaan kardia.

Here is the story:

“Jab mein 13 saal kit thi tab meri ammi ki death hogayi. Hum teen behnein hain. Meri sabse choti behen us waqt 1 saal ki thi. Ammi ki death ke baad abbu ne doosri shadi karli and as usual jaisa har sotaili maa karti hai waisa hi un ka attitude humaray sath raha. Meri choti behen ko humne mamu ke hawalay kardia tha aur usay abhi tak is baat ka pata bhi nahi tha ke wo unki aulaad nahi. 

Jab se meri behen maamu ke pas hai usay har us azaab se guzarna parhta hai jo hum soch bhi nahi sakte. Ab wo 14 saal ki hogyi hai. Ghar ka har aik kaam masi ki tarhan karwana, maarna peetna ye sab uske saath horaha hai. Mein ne kafi dafa abbu se kaha ke uske baray mein pata tou karayein ke wo kin halaat mein hai. Magar abbu ne hamesha yehi kaha, ‘Ab wo unki aulaad hai wo uske sath jo chahay karein.’

Abhi aik hafta pehle hi hum aik function mein milay jahan usne mujhe rotay hue bataya ke usay sachaayi ka pata chal gaya hai ke wo maamu ki aulaad nahi. Usne rotay hue mujhe kaha, ‘please mujhe wahan se nikaalo, mein ab ye takleef bardash nahi kar sakti, ye log mujhe bohot martay hai.’ Maami ne tou usay itna maara ke uski ankh shadeed injured ho gayi. Usne ye tak kaha ke uska cousin usay physically, mentally aur sexually bhi harass kar raha hai.

Mein is waqt bohot pareshan aur takleef mein hun, na sou paati hun aur na hi kuch khaa sakti hun. Mein apni behen ko is halat mein nahi dekh sakti. Jis tarhan wo ro ro ke mujhse keh rahi thi ke mujhe nikaalo wahan se, wo soch soch ke mein andar hi andar mar rahi hun.

Please mujhe meri behen ko wahan se nikaalne mein help karein. Mujhe kia karna chahye? Mere pas kisi ki support nahi hai siwaye choti behen ke. Abbu kuch bhi nahi kareinge. I am working in a reputable company jahan mein andazan 25K kama laiti hun. Meri choti behen tuitions parhati hai jisme wo around 6 to 7K earn karti hai. Hum dono behnein apne balbootay pe abbu ke sath reh rahi hain aur unki wife humein rakhna nahi chahti. Khandaan walon se bhi koi help nahi le sakte kyunke wo sab jantay hain lekin phir bhi kuch khamosh hain.

Kiya karun apni behno ko lekar bhag jaun? NGO se contact karun? But ye bohot lamba process hai. Wakeel karaun?

Meri mami humein milnay bhi nahi daiti. Pata nahi kaise us din humein mouka mil gaya baat karne ka. Please help me, mere pas aur waqt nahi hai.”

Is post ke baad hi sab soul sisters ne apni suggestions di jiski waja se she fought for her sister aur finally usne apni behen ko apne maamu ke ghar se nikaal lia. Aur ab ye teeno behne apne ghar mein sath hain.

May Allah protect her and her sisters! Hum khud tou normal life guzaar rahe hotay hain lekin humaray hi aas paas aise kaafi log hain jo shadeed mushkil mein hain. Humein chahye ke hum jitna ho sakay aik doosre ki help karein. Soul Sisters Pakistan aik aisa platform hai jahan sab aik doosre ki help karne ke liye hamesha tayyar hoti hain. Cheers to all the Soul Sisters!

Related posts

Plants you need in your house to ward off negative energies

FHM Pakistan

‘My mother was equally a part of my childhood sexual abuse’

FHM Pakistan

 Seems like Angelina Jolie wants Maleficent to be our next role model

FHM Pakistan