RAPE!! Is baray main shayad hum main se koi bhe baat nahi karna chahta. Ya shayad humain fark nahi parta. Ya shayad hum isliye awaz nahi uthate k yeh sab hamray saath ya hamaray ghar main nahi ho raha. Zainab k case k baad media, aam log or celebrities ne road per nikal kar awaaz uthai k aisa karne walay ko saza milni chahiye takay phir koi bhe aisi himmat karne se phele 100 baar soche. Phir kya huwa? ahista ahista sab khamosh hogaye jaisay kuch huwa hi nahi tha. Or phir wohi kuch Asif k saath huwa. Is baar kisi ko koi interest nahi k apnay ghar se nikle or awaaz uthaye kyunke humne yeh accept karliya hai k in sab ka koi faida nahi hai. Aam insan choro mera sawal media industry k un logo se hai jinko lakhon log follow karte hain. Woh konsa brand pehante hain, kya khatay hain, kaha jatay hain. Celebrities ki ki howi baat ko hum aise follow karte hain jaise pathar ki lakeer. Toh phir kyun yeh celebrities RAPE k khilaaf kuch nahi bol rahe, kyun yeh log zaroori nahi samjh rahe k apni takat ko use karen or is cheez k khilaaf apni awaaz uthayen? Sirf isliye k yeh koi brand nahi hai jiski endorsement karen?
Or rahi baat aam logo ki toh hum sab ko yeh lagta hai k hamaray bolne se konsa kuch badal jayega. Or shayad is soch ne hi RAPE jaisi cheez ko aaj itna aam kardiya hai k common si baat lagti hai. Jab k sach yeh hai k jurm karne walay se zyada jurm hota dekhne wala gunnahgaar hota hai!!
Abhi bhe kuch nahi bigra, I appeal har us insaan se jo yeh parh raha hai k please take a stand! ghar se niklna zaroori nahi, ghar main beth k bhe hum poori dunya main apni awaaz pohancha sakte hain. Aisa na ho ek din aisa hi kuch hamaray ghar ki zainab or asifa k saath ho!