FHM Pakistan
FHM Roman

Open letter for everyone jo kehte hain “Pakistan ne hamein diya kya hai?”

Dear all “Proud Pakistanis”,

Pakistan ne hamein diya kya hai? Ek sawal jo almost har Pakistani k dimagh mein hamesha rehta hai. Baat start hoti hai jab hum parh likh kar bare hojate hai or higher studies k liye choose karte hai abroad rather than choosing our own country. Because Pakistan jaise bare or kamyaab mulk mein ache institutes nahi hai. Really? Chalo maan liya k Harvard or Oxford jaisi universities Pakistan mein nahi hai, magar Harvard ki degree lene k baad bhe hum America mein job karna pasand karte hain. KIUN?

We claim Pakistan ka system, economy or government sab kharab hai. Pakistan ek corruption se bhara huwa mulk hai. But aisa isey kisne banaya? Politicians ne ya humne? Because we voted for those politicians. Hum sab ne banaya is mulk ko corruption se bhara huwa. Har us individual ne banaya jo yeh sochta hai k “Pakistan mein rakha kya hai” or is ko reason bana kar Pakistan se bahar rehna pasand karte hain or apne aapko kehte hain hamein pride hai Pakistani hone per. Wahhh bhaee! Han fakhar hai magar sirf 14 August ko. Huhh!

Behno or Bhaiyon, #livelongpakistan ka status laga kar show off karne se behtar hai k Pakistan k liye koi aisa kaam karo jissey iska naam poori dunya mein roshan ho. Or jab kuch nahi kar sakte toh criticize karne se acha hai Amereeecaa mein ja kar bartan dho. Yeh kehne se pehle k Pakistan ne hamein diya kya hai, pehle yeh sochen k humne Pakistan ko kya diya hai?

Shukriya!

By: A PROUD PAKISTANI

Related posts

Reham Khan shares the untold story of her divorce

Yumna Tirmizi

The cold winter spell is all set to return to Karachi!

Yumna Tirmizi

Pakistani itna shock India se haar kar nahi hote jitna Islamabad jaa ker hote hain

FHM Pakistan