K.E or hamari government k badolat, har saal ki tarha is saal bhe wakt se pehle hi Pakistan main load-shedding ka chaand nazar agaya hai. Garmiyan ayi nahi or load shedding hona shuru jaise ramzan anay se phele hi Eid hogayi ho.
Chahe Gulshan iqbal ho ya defence phase 6, load shedding proves that we all live in Pakistan. Subha ho ya shaam ek hi awaz har ghar se ati hai “Light phir chali gayi?”
Or har saal election main har politician yehi waada karte hain “Is saal pooray Pakistan se Load-shedding ka khatma kar k rahen gay” or election jeettay hi aise ghayab hote hain jaisay gadhay k sar se seengh!!
Last year bhe governement ne load shedding k khatmay k liye ek so called hashtag introduce karwaya “#MaryamLightChaliGayi” jiska maqsad tha load shedding ko pooray Pakistan se khatam karna. Or logo ne twitter per kuch is tarha se apne khayalat ka izhar kiya tha:
@MaryamNSharif baji light arehee hai ja rehee hai bilkul aap k bayaanat ki tarah. #maryamlightchaligayi
— Anab Waris Rathore (@awrathore) May 27, 2017
#MaryamLightChaliGayi#OhMaryamLightAaGyi
10 sec later#MaryamLightPhirChaliGyiSuch besharam log you are !! DFM! LDL! @MaryamNSharif
— abeera✨ (@abeerayy_19) May 11, 2017
Aue kehte hain agli hakumat main ham awam KO bijli istimal Karna sikhayen gay!! Bijli bohat hai? Kyun Maryam Baji?#MaryamLightChaliGayi 2/2
— abeera✨ (@abeerayy_19) April 22, 2017
@MaryamNSharif #MaryamLightChaliGayi.
AC main baith ke tweet karna bohat easy hain.kuch din logon ke saath loadshading mai guzaro
— Muhammad Ihsan (@don_of_mcs) April 21, 2017
3 hours and counting!!! ????#MaryamLightChaliGayi #PMLN
— Faizan Sajid (@fsaj90) April 21, 2017
Taras gai hain ankhain,
Bulb ki roshni k liye.????????????????#maryamlightchaligayi— مدیحہ???????? (@Madhoo_o) April 21, 2017
Or guess what hamesha ki tarha is saal bhe load shedding apnay urooj per hai. Mulk agar baaton se chalta hai toh kya baat thi!