“DISCRIMINATION” – Is word k bina Pakistanio ka jeena mushkil hi nahi balke namumkin hai. Chahe who kisi k rang k bare mein ho, kisi ki shakal k bare mein, kisi ki personality k bare mein, kisi k family background ya chahe cast hi kiun na ho. We never fail to discriminate anyone.
Yeh sirf new generation ki baat nahi hai balke hamare samajhdaar barey bhe is kaam mein peeche nahi. Khaas tor woh aunties jo apne laal jaise laadle k liye rishte dhondti hain. Khud ka beta chahe jitna hi kam akal, nikamma or paindu kiun na ho, unko hamesha ek shareef, ghareelu aur specially GORI CHITTI bahu k khuwab ate hain.
Or is khuwab ko poora karne k liye who dunya bhar ki larkiyan aise dekhti hain jaise woh kisi ki beti nahi magar Lucky One per Khaadi mein lagi howi sale hain. It’s not that I’m pointing out those Aunties k unko koi right nahi hay achi bahu lanay ka magar larkiyon ka X-RAY karna or unko sirf isliye reject karna kiunki unka rang kala hay yeh right toh unko Government of Pakistan ne bhe nahi diya.
I have a request to all those Aunties jo apne betey k liye rishte dhund rahi hain k please larkiyan dekhne k baad unko reject karne se pehle zara apne laal ki soorat bhe ek baar dekh len. Han lekin agar apka beta Saif Ali Khan jaisa dikhta hai toh phir toh uske liye Kareena Kapoor jaisi bahu hi dhundiye ga 🙂