FHM Pakistan
FHM Breeze

Kya aisa tha mera sheher?

Roshniyon ka mera shaher Karachi ab roshniyon ki talash mai hai aur kia is tarha se puray shaher ko development k naam se jaga jaga roads ko torh kar isay besahara chordena theek hai? Kitnay hi log rozana is development k naam se apna, is shaher ka aur is mulk ka nuqsan barasht karte hain magar hamari hukumat ko is ki koi parwah nahi aur kehne ko hukumat ke daway sab isi mulk ki khushhali aur taraqqi ke hain magar ye halat dekh kar to koi nahi kehsakta ke ye hamaray mulk aur shaher ke baray mai kuch soch b saktay hain.

Agar dekha jaye ke har anay wali hukumat shuru mai tou bohot se daway aur khuwab dikhati hai aur anay ke baad in ko apnay elaaj ke liye bhi Pakistan se bahir ke hospitals ki yaad ati hai. Aur sath hi sath saal dar saal hum taraqqi ko aik qadam pechay chorhtay aarahay hain.

Aur agar aisa hi chalta raha to hum roshniyon ko sirf parhnay aur kitaboon ki hadh tak mehdood kardeingay jo ke hum hotay nahi dekh saktay. Na janay kitnay hi log in roads ki khasta halat ki waja se raastay mai hi dam tor detay hain kyun ke hospital janay ke liye ambulances ko bhi rasta nhi milta.

Roshniyon ko wapis lanay k liye ab khud kuch karna parega!

Related posts

What does “Golden Visa” personally mean to Ali Zafar?

Heena Furqan

The ideal career options based on your zodiac sign!

FHM Pakistan

Here’s how Aamir Khan reacted to Junaid Jamshed’s death

Yumna Tirmizi