Aj kal ki zindagi mein jahan har insaan apni gustuju mein laga hua hota hai apni zindagi ko behtar karna mein. Waheen kuch aisay bhi loug hotay hain jo apnay kaamou se zyada dusray ke kaamou mein dilchaspi rakhtay hain.
Dusray ke maamlat aur zindagi aisay logou ke liye zyada dilchaspi rakhtay hain jo khud apni zindagi se khush nahi ho ya behtar nahi krna chahtay ho.
Humein chahiye ke hum apnay maamlat ko durust karein na kay dusray ke maamlo mein dakhal andazi karein.
Yeh zamana ‘KEEP CALM AND KAAM SE KAAM’ wala hai!
Isliye hum sub ko chahiye ke hum haar maamlat mein apnay kaam se kaam rakhein aur agar kisi ke madad kr sakein tou krein warna kamaskam un ke liye aur mushkilat na paida krein jis se dusrou ko bura lagay ya nuksan ho.
Is taiz raftar duniya mein insaan sirf apnay maamlat he sambhal lein baree baat hai!
Aur un logo ke tarah na banein jo apnay kaam se zyada dusrou ke kaamou mein tawajah rakhtein hai.