FHM Pakistan
FHM Roman

“KAAM PADH SAKTA HAI” – Aadhe rishte toh log isiliye nibha rahe hain!

Chahe rishtedaar hon, dost hon, ya jaan pehchaan k log, sach toh yeh hai k hum yehi soch kar k “kabhi na kabhi inse koi kaam padh sakta hai” rishte nibhate hain. Warna bina matlab k toh aj kal koi ek dosre se milna bhe pasand nahi karta.

Purane doston ka number phone main save toh hota hai lekin delete nahi hota kyunke kab kisi se koi kaam padh jaye kya pata. Jab padosi har wakt apne se ziyada apki life main interested rehte hon toh dil chahta hai k pochain akhir masla kya hai, lekin yehi soch kar ruk jatay hain k bure wakt main shayad yehi padosi kaam ajayen. Woh rishtedaar jinko apki yaad or apko jinki yaad sirf tabhi ati ho jab ramzan ka chaand dikhe ya eid ka din ho, baaki poora saal ap kahan or kis haal main hain koi poochne nahi ata or yehi sochte howe poora saal nikal jata hai k rishta khatam karna bhe theek nahi kya pata kabhi koi kaam padh jaye. Girlfriend ya boyfriend se chahe break up ho chuka ho lekin halki phulki salam dua toh rakhna zaroori hai kyunke agar koi kaam padh gaya toh masla na ho!

In short hum sab kahin na kahin ek dosre se sirf isliye rishta nibha rahe hote hain k “KAAM PADH SAKTA HAI”

Related posts

Lindsay Lohan to convert to Islam?

FHM Pakistan

The Harm of Body Shaming: Why Men Should Respect Women’s Bodies

Fatima N

Child Abuse ko khatam hona hi hoga ab! “Let’s raise a voice together”

FHM Pakistan