Badkismati se hum aise muashrey main rehte hain jahan Jahez mangna or dena farz samjha jata hai. Kaha se shuru howi hai yeh riwayat or kisne ki shuru ki, kisi ko nahi pata. Agar sab ko pata hai toh sirf itna ke yeh farz hai. Or jo log bohat bharam se jahez main paise, gari, ghar or paise mangte hain unko apki beti nahi balke paise chahiye hote hain. Woh log apki beti se nahi balke apke paison se shaadi karte hain apne bete ki. Yeh realize kiye bina k Jahez mangna or dena Islam main mana hai. But aj kal yeh zarurat se zyada trend ban gaya hai. Jahez de kar log apne bank balance or status ka show off karte hain. Or jo log Jahez mangte hain unko actually jahez mangte hain unko paise dijiye apni beti nahi kyunke aise logo ko paison ki zarurat hai apki beti ki nahi!
#WAKEUP