Multi-talented hone mein or over confident hone mein buhat fark hota hai. But buhat kum log hote hain jo is baat ko accept karte hain, k woh har kaam nahi kar sakte.
Ab agar baat karen fashion ki toh kis ko nahi pasand designer wear pehanna? But aj kal k zamane mein instead of appreciating those designers, humari poori koshish hoti hai k hum unko copy karlen, or khud bhi ek designer ban jayen.
But, copy karne se or bina degree liye agar koi bhi designer ban sakta hai toh fashion institutes ko foran band hojana chahye because it’s totally unfair with those students jo 6 saal mehnat karte hain fashion designing parhne mein or jab graduate hote hain toh unko koi poochta tak nahi hai. Afsos ki baat hai!
Dear “Trying To Become A Designer” wale behno or bhaiyon, agar koi bhi ghar bethe designer ban sakta toh har ghar mein ek Deepak Perwani aur Shamaeel Ansari hoti. I mean they are designers because they have studied it and they have experience of years. Copy karne k bajaye woh kaam karein jis mein ap sach mein expert hon.
And designer ki degree lene ka matlab yeh bhi nahi k aap designer ban gaye. It takes time and experience. Matlab Dolce & Gabanna copy karne wale designer bhi atay hain or 4 din mein ghayab hojate hain. Ap samajh toh gaye honge k mein kis designer ki baat kar rahi hon yahan. Toh designer banna khel nahi hai isliye appreciate karen un designers ko jo sach mein acha kaam kar rahe hain, not just in Pakistan but worldwide. Or hamein chance dena chahiye apni upcoming youth ko takey ek din woh bhi apne kaam se Pakistan ka naam roshan kar saken.