FHM Pakistan
FHM Roman

Jahez lena jurm hai magar kya larkay ko uski salary say judge karna theek hai?

Aaj bhe hamaray mulk main aise log hain jo jahez lene or dene ko jurm samajhte hain. Lekin afsos ki baat yeh hai k hamein is jurm ka ehsas sirf tab hota hai jab jahez dene ki baari khud ki ho. Baat yaha tak bhe theek hai lekin tab yeh saari baatein kahan chali jati hain jab hum yeh expect karte hain k larkay ki HI-FI salary ho, achi job ho, yearly bonus ho, designation achi ho??? Tab koi yeh baat kiun nahi karta k jis tarha jahez dena jurm hai toh larkay ko uski job or salary se judge karna bhe ghalat hai??

Larki agar jahez na laye tou bichari ko sari zindagi justifications aur taunts mai guzarni part hai but us larkay ka kia jiski susral mai apni low income ki wajah say koi izzat nahi rehti. Jahez ho ya salary, hum itnay materialistic ban gaye hain k logo ko cheezon or paiso se apni khushi ka andaza lagate hain. Pyaar, Trust aur Honesty say bhi cheezain chal sakti hain.

Kyunke bohat kuch hota hai lekin sab kuch nahi!!!

Related posts

Khan Sahb, kya pizza ko coffee main dip kar k khana tabdeeli ki nishani hai?

FHM Pakistan

Sonu Nigam shaves off his head, insists he is not anti-Muslim

Yumna Tirmizi

“Any girl who wishes to marry me will face difficulties” – Bilawal Bhutto Zardari

Yumna Tirmizi