FHM Pakistan
FHM Roman

Insaaf ki baat karni sab ko aati hai lekin saamna karne ki himmat kisi mein nahi hoti!

Yeh baat jitni sach hai utni hi karwi bhi. Or kiun na ho, kiunki hum sab samajhte hain k hum insaaf k liye kuch bhi kar sakte hain. Lekin sirf social media ki had tak. Buhat asaan hota hai araam se ghar per beth kar TV dekhte howe #WeWantJustice ka status lagana but jab baat stand lene ki ati hai toh koi apne comfort zone se bahar ana zaroori nahi samjhta.

Zyada door jane ki zarurat nahi, #JusticeForZainab k incident per hi baat ki jaye toh afsos hota hai. What unity we have in Pakistan k social media per humne ek toofan khara kar diya Zainab ko insaaf dilane k liye. Aur sirf us admi k pakre jane ki khabar sun kar (jo shayad asal mujrim hai bhi nahi) hum sab aise khamosh Beth gaye jaise kuch howa hi nahi tha.

Kaha gayi #JusticeForZainab ki campaign? Kaha gaya woh inqilaab jo hum lana chahte thay? Kaha gaya woh ghussa jo humein us mujrim ko phansi per latka dekh kar hi utarna tha? Kaha gayi who bari bari batein jo humne is system ko change karne k liye ki thi?

Yeh sirf ek baar ki baat nahi hai. Aisa hamesha se hota aya hai or shayad hamesha hi hota rahega. Kiunki hum insaaf ki sirf baatein kar sakte hain, saamna karne ki ya stand lene ki himmat hum mein se kisi mein nahi hoti.

Ab hamein insaaf sirf usi wakt yaad ayega jab Zainab jaisi ek aur masoom zindagi kisi janwar ka nishana bane gi!

#ThinkAboutIt

Related posts

Single larkiyon, Man nahi mila toh kya huwa Men perfume hi sahi!

FHM Pakistan

Jab PAKISTAN main itne Khoobsurat beaches hain toh THAILAND kion jayen!

FHM Pakistan

Disability is not Inability – These brave models are changing the way we see “disability”

FHM Pakistan