Burger se toh aap samajh hi gaye hongay k mein khane wale burger nahi balke “wanna be burgerz” ki baat kar rahi hon. Jo rehte toh Pakistan mein hain lekin Netflix ki series dekh dekh k khud ko “Born in England” samajhna shuru kar dete hain. Facebook ki Dp se le kar inke “American” accent tak sab cheez fake hoti hai. Nadra walon ko agar inki Facebook ki Dp dikha den toh woh verify nahi kar sakte k konsi wali original hai.
Itna moun terha kar k American accent main baat karte hain k urdu bhi bolen toh lagta hai jaise Bilawal Bhutto ki rooh agayi ho
McDonald’s or Burger King k elawa toh kuch khaate hi nahi hain. Or bun kabab khane walo ko aise dekhte hain jaise koi aurat apni sautan ko
They always wear branded clothes because Shalwar Kameez is not in fashion
They never like to watch Pakistani TV shows. Bus sara din Netflix per serials dekhna is their favorite thing (Bhale samajh na aye)
Football toh asie jazbaat mein dekhte hain jaise real madrid or manchestar united mein inki phuppo ke bache khel rahe hain. Lekin cricket dekhna is too mainstream
Har burger k pass DSLR or selfie stick hona is too necessary
Newyork or london ki har street fingertips per yaad hoti hai lekin apna Gulshan or Nazimabad sun kar kehte hain “Do these places even exist”
Khaadi ki 70% off main not interested lekin Dubai main Sephora ki 10% off main 30,000 ka ticket karwa kar pohanch jayenge
50 Degree temperature main bhe they drink only coffee because it looks cool!
They only go to french Beach for parties kyunke sea view toh local awaam jati hai
Travel UBER or CAREEM mein karte hain or snapchat stories aise banate hain jaise kisi BMW main bethe hon