FHM Pakistan
FHM Roman

FOOD, SOCIAL MEDIA & MOVIES – Pakistani generation ki zarooriyat-e-zindagi

Barhti howi technology or zamane k saath ab toh “ROTI, KAPRA or MAKAAN” wala slogan bhe “FOOD, INTERNET & MOVIES” main change ho chuka hai. Or kiun na ho bhyi, 2018 main pohanchne ka baad roti na mile toh chale ga lekin ek din bhe Facebook ki applications down hojaye, hartaal hojaye, ya phir signals band hojayen toh aisa lagta hai jaise dunya main jeene ka maqsad hi khatam hogaya ho. Wakt k saath saath Pakistanio ki soch or zarurat bhe badal gayi hai.

  1. Ghar main PTCL per baat karne ka zamana ab gaya, ab toh ek hi ghar main ek dosre se baat karne k liye hum “WHATS APP” use karte hain
  2. Bathroom ki towel se lekar doormat tak, har cheez branded hona bhe ek zarurat hai
  3. Rishtedaaro se mile howe chahe saalon guzar jayen lekin, har 6 mahinay baad DUBAI ka trip is too necessary
  4. Khaana khaane se pehle 1 adad Snapchat or Instagram picture ke bina toh khaana adhoora lagta hai
  5. Cash pocket main rakhna is too mainstream. Credit Card ka zamana hai bhai
  6. Jitne ghar main log nahi hote usse zyada toh ghar main gariyan or guards hote hain
  7. DSLR camera! Agar apke pass yeh nahi toh log samjhte hain aap abhi bhe 2000 main reh rahe hain
  8. Ghar main bani howi biryani se zyada we prefer restaurant ki daal.
  9. We don’t watch TV but yeah movies in cinema is all we need

Related posts

Load shedding ki akhir asal waja hai kiya?

FHM Pakistan

PIA aircraft couldn’t have looked better. You will be surprised!

FHM Pakistan

Apne muhallay ko qurbani ke waste se saaf rakhne ke liye 3 asaan tareeqay.

FHM Pakistan