FHM Pakistan
FHM Roman

Churail Review: Yaha koi Bechari aurat nahi hai.

Hamesha se aurton ko hur buray kaam ki jar samja jata hai jabke admi barey se bara gunnah karke bhi asani se nikal jatay hain. Agar aurat kidnapped hojati hai toh usne aise kaprey phene honge ya dair raat tak bahir hogi or agar mar diya jaye aurat ko toh matlb usne apne sohar ki baat nahi sunni hogi ya characterless hogi…

Kabi bhi mard zaat par ki ilzaam nahi lagta lekin film maker Asim Abbasi ki recent web series inho ne maashrey ki us baat par roshni daali jo ab tak hidden thi ya log is barey me baat he nahi karna chahte thay. Kis tarha humari society me aurton ko treat kia jata hai and still expected to be the “best version of themselves.”

Churails me Pakistani showbizz se kuch bohot zabrdast talent cast hue hain: Sarwat Gillani as a lawyer-turned-housewife Sara, Yasra Rizvi as an alcoholic wedding planner Jugnu, Nimra Bucha as Batool, a murderer released from prison while Meherbano dons the role of young Zubaida, looking for love and success in the world of boxing. Yeh 4ron ek aise moqay me milte hain jaha ye sab ek spy gang tayar karte hain jisme ye un mardon par nazar rakhte hain jo extra martial affairs me involved hotay hain.

In a nut shell Churails na sirf bohot interesting web series hai balke isme ek message bhi hai. Isme mashray kay masle jese  harassment, forced marriages, abuse, assault and the concept that “boys will be boys,” jese highlight kiye gaye hain aurton k favor mein. The show serves as a mirror to the harsh realities of our world and teaches us how to be more tolerant where needed and take a stand. Ab sawal ye ata hai kay iska dosra season kab ayega or usme ab konse masle dikhaye jayenge… We all are desperately waiting for the next season.

Related posts

Video: Pakistani man sets Guinness World Record

Isra Shams

A Turkish girl’s “Dil Dil Pakistan” tribute to Junaid Jamshed is going viral

FHM Pakistan

“Om Puri ended up where he belonged” – Shiv Sena

Isra Shams