FHM Pakistan
FHM Roman

Child Abuse ko khatam hona hi hoga ab! “Let’s raise a voice together”

I really don’t need to explain this topic to you guys, as its self explanatory, knowing aj kal kay mashray mai kia kia horaha hai. Starting from Kasur case to Zainab’s, har banda janta hai kia hua aur kitna bura hua.

Social media par shor bhi kia, trending jo tha, status tou banta tha! Sara afsoos aur power social media tak hi rehta hai. Ya tou sab actors jama hokar candles jala laingay ya phr twitter par strong tweets kardaingay, but is that even worth it? Koi faida hai in cheezon ka? Kia help hui Zainab ki in sab cheezaon say?

Sirf khud thora aur famous hogaye, batain bol kar rumors banwa liye aur bas!!!
Can I ask, kisi nay yeh awaz kyun nae uthai kay us shaks, jis nay yeh sab kiya, usey ab tak saza kyun nae mili? Sahi hai, maana usay phansi nai hosakti sab kay samnay because constitution mai yeh law nai hai kay publicly phansi ho, but amendments tou hosaktay hain na? Sakht saza tou mil sakti hai na? But all we can see is the closing of another chapter slowly.

Hum nay awaaz uthai? Hum nay kuch kia? Hamari government nay koi stand lia? I can’t see any positive response out there! Time to think and raise voice, is say pehlay baat apnay ghar par pohnchay.
Yeh sirf Zainab ki baat nai hai, hazaar aisay dosray cases hain jinka humain abhi pata bhi nai hai. Just because they don’t have power to speak up tou unkay cases ko sab ignore kardetay hain, but aj aik ko saza milay gi tou kal dusra hazaar dafa sochay ga bhi aisi harkat Karen se pehle!

Related posts

The wait is finally over! Ali Zafar releases official anthem for PSL 2017

FHM Pakistan

Kanwal Ahmed announces another mega SSP meet-up session

Yumna Tirmizi

Ek hoti hain pados wali aunty or ek hoti hain zindagi ko azaab bana dene wali aunty

FHM Pakistan