FHM Pakistan
FHM Roman

Restaurants me khana kitna khatarnaak hosakhta hai during Covid-19 pandemic?

Is pandemic ka ek sabse bura nuqsaan ye tha kay humare favorite restaurants se hum khana nahi khaa sakhte thay. Lekin recently sarey restaurants or hotel khulne kay chances hain. Ab saal yaha ye ayta hai kay bahir khana khana safe hai ya nahi. Health officials ka kehna hai maximum precautions le kar virus se expose honey kay kum chances hain.

Delivery or takeaway ka option sabse ziada safe hai ab tak. Restaurants wapis kuch conditions me khul sakhte hain jab SOP’s ka khayal rakha jaye or outdoor seating arrangements ho jisme hur table 6 feet door ho. Ye virus logo kay bolne, cheekhney or khaasney se phelta hai. Indoor spaces me iske phelne kay chances bohot hudh tak barh jatay hain or khas tor par wo restaurants jaha ventilation kay kum chances hai aha ziada tezi se phel sakhta hai.

Maximum safty kay liye waiters mask phene or sabka temprature check kiya jaye or khaas tor par hur table 6 feet door ho. Disposable utensils istemal kiye jayen or touch less payment option ka istemaal kia jaye jese kay phone se paise transfer kardena. Is tarha cash or card ka istemaal nhi kum se kum hoga jisey virus phelne kay chances bhi kum hojayenge. Agar ap restaurant jayen toh sirf un logo kay sath jana prefer karen jinko ap achay se jantey hain or unko koi symptoms nahi hain. Khaas tor par elderly logo ko lejaney se gurhaiz karen kiu kay unko ye virus bohot asani se lag sakhta hai.

Related posts

This man stops wife from committing suicide by grabbing her hair

FHM Pakistan

Muslim teen tells father she wants to take off Hijab. His reply is breaking the internet!

FHM Pakistan

Can you find the differences in these 17 pictures?

Yumna Tirmizi