RIGHTS? HUQOOQ? FEMINISM? EQUALITY?
Like really? Kya hamein in sab ka matlab bhe pata hain ya bus phir ek trend ki tarha jise dekho follow kiye jaraha hai. Kuch time se yeh jo saari aurtein or larkiyan road per kharay ho kar apnay huqooq mang rahi hain, inse koi sirf itna pooche k ek baar decide karlen pehle k azaadi mardon k muqabil kharay hona hai ya huqooq milna!! Road per bohat araam se “Khana khud garam karo” k banner toh le kar kharay hojatay hain lekin jab baat ati hai “Apni roti khud le kar ao” toh kisi k pass koi jawab nahi hota. Equality agar huqooq milne per honi chahiye toh phir mardon walay saray kaam bhe karne chahiye. Lekin hum chah kar bhe aisa nahi kar sake. Kyunke hamare culture or society ki kuch values hain jo na chahte howe bhe hamein follow karni parti hain. Lekin shayad hum itna azaad khayal hogaye hain k hum apni hi values bhool bethe hain. Wahh kya feminism ka trend chala hai.