Recently ek 16 saal ke larke ko chori ke ilzam me bandha jata hai, uske kapre utar ke use be aabru kia jata he, be rehmi se mara peeta jata hai aur akhir kaar uski jaan leli jati hai… yeh khabar parh ke thori der ke liye main bilkul blank hogaya, aur khaas tor par jo us bache ki T-shirt pe likha tha “APNA TIME AAYE GA”, ek ghareeb ka time kabhi nahi asakta uski sirf maot hi asakti hai,
“APNA TIME AAYE GA” magar kia ek ghareeb ka time kabhi aata hai? ye wo apne time ka intazaar karte karte is bache Rehan ki tarha is duniya se chala jata hai?
Mera sawal sirf itna hai ke aapko kisi ki jaan lene ka haq dia kis ne? mene is baare me logon ki ray lee to kuch logon ne kaha ke bhot acha kia, aese ek do logon ke anjaam dekh ke hi baqi log sabaq seekhain ge, doosrey mumalik me bhi aesa hota hai. I mean seriously guys? Kia doosre mumalik ki awaan aesa karti hai ya waha ka qanoon? yeh kaam qanoon ka hai ke wo pehle usy guilty prove kary aur phir kisi faisle tak phnche na ke awam ka ke wo apni choti soch ke hisab se faisla karen aur kisi ki bhi jaan lelen.