FHM Pakistan
FHM Roman

Achi Job degree par ya Parchi par milti hai? Zara Sochiye!

Har insaan is dunya mai aik kamyaab insaan banna chahta hai. Aur uskay lye wo pori koshish karta hai to get what he wants. Starting from studies, har mumkin koshish ki jati hai to get good grades, pori mehnat ki jati hai takay koi naam banay.

Uni life mai doston kay ghar night stay karkay pori raat parhna, pora din university mai teachers ki baatain sunna, ghar mai amma abba kay tanay sunna, but you still try to ignore each and everything because manzil bht dur hai aur rasta mushkil hai. At last sab experience lekar, dhakay kha kar achi parhai karkay, thesis karkay, MBA karkay, when you enter in the Market all you see is wohi log jo uni mai last benchers hotay thay, na aj tak kitaab ko hath lagaya na kuch experience hasil kia, bas baap ki parchi se achi post par akar beth gaye!!

Shocked? No need to, cause there is a lot more you still don’t know. Har us insaan ko dukh tou hoga jo neechay say mehnat karkay uper tak aya kay usay uska phal milay ga jo wo deserve karta hai. But little did he know k yeh tou Pakistan hai. Yahan tou aadhay kaam parchi par hotay hain. Pehlay links banao, phir seat par betho!

Aisa kyun? Why don’t we question over it? Why do we remain quiet knowing the truth? Why do we accept the way things are and not take stand. We need to raise our voice! Hum awaz uthaingay tou hi kuch hoga warna aisay accept kartay rahay tou agay ki naslain hum say bhi bura waqt dekhaingi! SOCHIYE!!

Related posts

“Farishtay” – A short documentary movie by ISPR

Isra Shams

This Ramadan won’t be the same without these legends

Yumna Tirmizi

Behold Netflixers! January 2017 is all about Netflix and Netflix

FHM Pakistan