FHM Pakistan
FHM Roman

Achay padosi hona bhi ek rehmat hai, lekin kabhi kuch padosi zehmat ban jatay hain!

Ghar change karte howe sab se pehla khayal dil main yehi ata hai “Pata nahi padosi kaisay hongay”. Kyunke achay padosi milna bhi ek naimat hai. Or kabhi aise padosi bhi mil jatay hain k banda sochta hai ya toh yeh ghar badal le ya main khud. Here are some moments jo wohi realize karsakta hai jiska padosi ek sir ka dard ho!

That aunty jo hamesha mehangayi per roti rehti hain, but hamesha tayyar aise rehti hain jaise shaadi main jarahi hon

Bachon walay padosi, jinke ghar main har age k bachay hote hain. Or subha se le kar shaam tak gali main khelte rehte hain (specially when you’re sleeping)

Woh padosi jinki ap per apke amma abba se bhi zyada nazar hoti hai

Kharoos Padosi, jinko salaam karte howe bhe dar lagta hai

Chahe din ka 1 baja ho ya raat k 4, har wakt larne ki hi awazein ati rehti hain

Woh padosi jinka apne ghar se ziyada apke ghar main dil lagta hai. Din main 5 chakkar lagana toh must hai

Jis din apke ghar main dawat ho, us din toh bin bulaye mehmano ki tarha ana farz hota hai

“Thora sa doodh/cheeni/surf milega” type padosi toh har mohallay main hain

Related posts

Phone with Guarantee or Relation with sincerity, bohat mushkil se milta hai

FHM Pakistan

All female biker club called “Rowdy Riders” is breaking stereotypes in Pakistan

Yumna Tirmizi

Thinking of partying in Thailand? Well think again!

Isra Shams