Hur saal bakra eid kay bad roads par animals waste kafi iada tadaad me dekha jata hai jiski waja se bimarian phelne kay chances kafi barh jatay hain.
Here are four things we can do this Eidul Azha to keep our vicinity clean:
1: Dump all the animal waste in one place.
Qurbani kay baad animal waste raston me phek dia jata hai jiski waja se raste me chalna mushkil hojata hai or ye waste kafi smell bhi chodeta hai. So, Instead of leaving it everywhere, apne neighbors se baat kar kay kisi ek jaga sara waste discard kar diya karen.
2: Don’t let the blood flow.
Raston me heavy amount me blood flo dekha jata hai during Bakra Eid, isliye e should make sure that no blood is left to be absorbed by the ground on its own. Is problem ka best solution ye hai, jese he qurbani ka sara kaam khatam hojaye apne area ko mukamal tor par achi trha ash kardiya jaye. Pour water and choona (lime powder) on top of the blood, and make sure it is cleaned. Or koshish karen qurabni aiasi jaga karen jaha proper drainage system working me ho.
3: Don’t sacrifice in the middle of the street
Eid ki qurbani kay liye kisi k pas bhi itna bara ghar nahi hota lekin iska yeh hurgiz matlab nahi hai kay hum raston par qurbani karna shuru karden. Is baat ko bhoolna bilkul bhi nahi chaye kay ye act na sirf society ko ganda kar raha hai balke humen ye bat bhi consider karni chaiye kay hur koi qurbani nahi dekh sakhta.