Kuch time pehle log bus camera khareeed kar photographer ban jatay they. Phir ek wakt aya jab jiska dil chahta tha designer ban jata tha. Jis tarha se Pakistan main fashion trends viral hote hain isi tarha profession bhe. Jo model ho woh actress ban jati hai, jo actress ho woh model ban jati hain, jiski thori si awaaz achi ho ya amma abba ki parchi ho toh woh singer ban jata hai, thore se followers ajaye toh blogger ban jatay hain. Matlab degree se le kar media tak koi bhe cheez merit per nahi hai. Jiska jo dil chahta hai woh karna shuru kardeta hai.
Ab aaj kal ek naya trend chala huwa hai. Youtuber banne ka. Jo bhe actress thori si famous hojaye toh youtuber ban jati hai. Matlab jo cheez main expert hai woh wohi kaam kyun nahi karta?? Or woh kahawat bhe toh hai k JISKA KAAM, USI KO SANJHAEY!!