Zindagi main bahar si ajati hai jab poora week intezaar karne k baad Sunday ata hai. But reality yeh hai k Sunday ka din Monday se zyada manhoos hota hai. Poora sunday isi pareshaani or afsos main guzar jata hai k kal phir monday hai. Here are some reasons which prove Sundays Mondays se zyada manhoos hote hain.
Chahe alarm ko off kar k soo, lekin ankh wohi 7 bje khul jati hai or phir door tak neend ka koi nishan nazar nahi ata
Lekin phir bhe bed se 12 bje tak uthne ka dil nahi chahta. Susti overloaded
Or poora wakt bed per Facebook, Instagram, or Snapchat use karte hi guzarta hai. ON REPEAT!
Jaise jaise sunday guzarta hai bus yehi tension hoti “Kal Moday hai”
Saray plans sirf plans hi reh jatay hain cox SUSTI
Or mazeed din ko kharab banane k liye ajate hain bin bulaye mehmaan
Poora din ankh jhapakte saath hi guzar jata hain or pata hi nahi chalta
Or din k akhir main yehi dua niklati hai “Kaash Sunday or Monday k beech ek or din hota”