FHM Pakistan
FHM Roman

Larki ki marzi ho toh “FEMINISM” or larki ki marzi na ho toh “SEXUAL HARASSMENT”

Ek taraf hum baat karte hain feminism ki. Jahan hum claim karte hain k hamein mardon k saath equally treat kiya jaye. Chahe office ho, ghar ho ya phir aam log, hamein woh saray huqooq chahiye jo mardon ko milte hain. Jab hum khud apne male friends k saath ghoomney ko “azaad khayal” hona kehti hai or jab unhi male friends k saath social media per pictures post karti hain toh is main koi kharabi nahi hoti kyunke yeh sab toh hamara “social right” hai lekin tab tak jab tak hamari marzi hai! “Feminism” change ho kar “Sexual Harassment” ban jata hai jab larki ki khud ki marzi na ho!

Matlab khud ki marzi hogi toh raat k 12 baje bike per male friends k saath poora karachi ghoomney main koi masla nahi. Na hi phone per baat karne main masla hai. Na hi galay main haath daal kar social media per pictures post karne main koi masla hai. Lekin jab wohi male friend yeh kaam kare or apka consent liye bia aap main interest show kare woh bhi “apki marzi k bina” toh us per sexual harassment ka charge lag jata hai. Or hum isey kehte hain “FEMINISM.” WAHHHH! 

Na toh yeh Meesha Shafi ka statement hai na hi Ali Zafar ka, balkay ek aam insan ka opinion hai!

Related posts

Behold Netflixers! January 2017 is all about Netflix and Netflix

FHM Pakistan

This woman reveals shocking texts from abusive husband

Yumna Tirmizi

Woman gets HIV, 10 years after a manicure at Nail Salon

FHM Pakistan