FHM Pakistan
FHM Breeze

Umar guzar gayi sunte sunte “25 ki hogayi, Shaadi nahi hui ab tak?”

Agar aap 25 ki hai aur ghair shaadi shuda hain iss so called ‘over smart’ society mein, tou aap zaroor us phase se guzar rahe hongay jis mein aapko ek se ziada logon ko batana parhta hai ke aap ke saath, ya aap mein koi masla nahi hai.

Kuch ye he taunt sunne ko milte honge:

Shaadi kuyn nahi hui tumhari?

Rishta nahi mil raha?

Shaadi kab kar rahi ho tum?

Koi Larka nae mila?

Budhi ho rahi ho!

Ye tu phir bhi kuch nahi hai is se ziada tou woh shaadiyon mein auntiyan hoti hai jo apko apni ammi ke pas le jakar bolti hain ‘Itni pyari bachi hai tumhari, jaldi se shaadi karwao iss ki’. Jee haan ye woh he hain jo aapki zindagi mein ek Naag se kam nahi hoti.

I get it that they are concerned about our age and want us to be settled, I even get that 25-28 is that age jis mein sub ki aap pe nazar hoti hai kai kab apne hone wale shohar ko society kai samne present kareinge but agar koi nahi kar raha tou is mein aapka kiya ja raha hai?

Usse phele ke aap soche, I want to make it clear ka na mien Shaadi ke kilaaf hun, na mein shaadi shuda hun or na he mujhe koi apni society se masla hai. Once I read a sign that said, “A man is like a parking spot, the good ones are always taken; the rest are too far away.”

In simple words, Shaadi honi hogi tu hojaye gi, don’t bow to the pressure!

Related posts

World’s LAMEST wedding traditions that’ll make you thankful for being single

FHM Pakistan

The Legend of Maula Jatt, Tich Button: Eid releases halt due to Covid-19

FHM Pakistan

We asked people what is the one thing they thought will change after marriage but didnt? Here’s what they said!

FHM Pakistan