Mein sirf 12 saal ki thi, par phir bhi usne mujhe nahi baksha. Mene usey apna bhai maana, par wo itna bara janwar hoga, ye kabhi nahi socha tha mene.
Mein apna naam nahi batana chahungi, par aj mein apni kahani is liye btana chahti hun ke jo usne mere sath 10 saal phele kiya, aj wo apna anjam khudi bhugat raha hai, par me phir bhi dua krti hun ke jo mere saath hua, khuda na kare ke wo kisi aur larki ke saath ho.
Unfortunately, wo aaj bhi mere cousin hain, khair, shuru mein tou mujhe laga ke wo behan samajh ke pyaar karte hain, par jese jese din guzarte gaye unka asal roop samnay anay laga. Hum joint famiy system mein rehtay thay, aur unki shadi ki tyariyan dhoom dhaam se chal rahi thi. Sab apnay apnay kaamo me busy thay, aur mein, mein sirf baith ke TV dekhti thi.
Khamosh tabiyat ki thi, shayad isi ka faida uthatay hue unhone socha ke kaam asaan hoga. Par kyun? Kyun nahi socha unhone ke main sirf 12 saal ki thi? Kyun na unhone ye socha k unki shadi hone wali hai aur agay jakay unki bhi ulaadein hungi? Kyun na unhone socha ke Bhabi ke saath sincere hona bhi zaroori hai, aakhir kaar pasand ki shadi ki hai.
Par kuch nahi socha unhone, aur chahe unhone wo sab nahi kiya jiska hum sab larkiyon ko khauf hota but unka mere paas akay baithna, mujhe chuhna, kiss karna, kia ye bhi kisi taqleef se kam tha? Nahi! Who allowed him ke wo mjhse apni frustration puri krte? Kaash mujhme itni himmat hoti ke mein agay se wo sab krsakti jo mera man kiya, par wo waqt esa guzra ke jese mere andar se sab senses kam krna chorgye hon.
Aaj unki bhi betiyan hain, aur unki khud ki tabiyat esi hoti hai k kab kahan gir jatay hain behosh kuch nahi pata hota. Meri jesi aur pata nahi kitni larkiyon ke saath kiya kuch kia hoga. Na janay kitni aur larkiyon ki aahein li hungi. Par aaj jis haalat mein wo hain, khuda unhein unki jurm ki puri saza dein! Par khuda na kare ke jo mere saath hua, wo kisi aur ke saath kabhi bhi ho!